Thursday, September 12, 2013

paisa kamo in india in pakistan in all our world urdu and hindi me

Internet se paisa kamna chat hain to ab aap ki ye khwahis humare is blog our is post ke sat poori ho sake gi inshallah.
internet par paisa kame ka offer kai company deti hain lakin hum aaj aap ko sab se bharose mand company google ke paisa kamane yani dollar kamane ka offer dene wale program googleadsense ke bare me teach karenge.
Google Adsense ek aisa platform hai jo bhut bharose mand our bhut zyada income karne wala platform he.

Google adsense kaise kam karta hai ?
asal me google adsense ek google ka program he jo ki web our blog rakhne wlae shaks ko advertise publisher ke tor par advertise deta hai ye advertise google doosri companies se leta hai our jo income google ko in ad par milti hai us ka kuch hissa google adsense program se jode blog our web site publisher ko deta hai.

Google adsense se kaise jude ya kaise paisa kamain ?
google ke adsense program se paisa kamane ke liye aap ko sabse pehle internet par blog ya web site bnana gogi.

Internet par website ya blog kaise banayin ?
Internet pra blog ya web site kisi web Designer se paisa dekar bhi banawai ja sakti hai our agr ye kam aap bgir rupe kharch kar ke karna chate hain to aap free blog bna sakte hain.
Free blog kaise bnaya ja sakta hai ?
free blog bnane ke liye aap ko hum blogger par blog bnane ka mashwara denge.
blogger par free Blog bnane ke liye aap ko sabse pehle ek gmail account bnana hoga. iske baad aap blogger.com par jakar blog bana sakte hai.

Blog kiya our kaisa ho ?
agar aap blog se income yani paisa kamana chate hain to aap ka pahla blog English me hona chaiye our adsense ke liye is blog ko kamse kam 6 mont old hona chaiye india our pakistan ke blogger ke liye (abhi tak togoogle ki ye hi policy hai age change ho bhi sakti hai).
Ab jab aap apna blog bna le to us par aap Option me jakar adsense earning program ko shuru kar sakt hain, jaisa ke humare blog ke aspas aap Ad dekh rahe hain.
jab koi vistior in blog ko kholega our aap ke blog ke ad ko khole ga to is tarha aap ke adsense account me dollar banne lagege our aap is se dher sara paisa kama sakte hai.

Monday, September 9, 2013

tips to increase blog traffic tips in hindi and urdu blog ke visitor ko kaise badhain

Tips to increase blog traffic tips in hindi and urdu

  • Khoobsurat our fast load hone wala templat:- har visitor chata hai ke jis blog ko wo open kar raha hai wo fast open ho. iske liye zaroori hai ke aap apne blog temlate ki asi seting kare jo fast load ho.our khoobsurat bhi dikhe agar apka blog khobsurat dikhai dega to isse visitor ke dobar blog par ane ki ummid zyad haogi.
  • Keyword on your blog :-  blog ko other people tak pahuncahne ke lye zarooi hai ke aap ke blog ka title our blog ka matter un keyword se bhra ho jo net par zyad search kye jate hain. iskelye aap khud apne kisi blog ki post ke traffic source option me jakar keyword ko dekhen our jo keyword zyada search ho rahe hain un keyword ka istema apni post me khas tor se blog title me kare.
  • Share buttons ka istemal : - aap ke blog ki setting me share buttons ka istmal zaroor kare. jab koi visitor aap ka blog padhta hai to achchi post ko facebook our twiter wgaira par bhi shaer kar sakta hai is tarha aap ke bolog ko nae visitor hasil honge.

  • Blog Titel ; aap ke blog ka title thoda lamba rakhe kunke google search engine me is tarha aap ka blog search me zyada aa sakt hai jabke agar aap short blog title rakhte hain to is bat ke imkan kam hain,

  • Blog Comment kare :- ek our best aidea ye bhi he ke aap ki other blog par apna comment de jab aap kis other blog par apna comment deng to us me apne blog ki link bhi chord de is tarha us blog ki post ko read karne vale visitor bhi aapki post par aa sakte hai.
  • Apne blog ke comments ka jawab:- aap apne blog par ane wale commetn ka jawab zaroor den is tarha aap ka apne blog visitor se achch talluq paid hoga, aap ke blog reader aap ke blog me dilchaspi leng. blog comment ka jawab dete wakt visitor ke qustion ke ansawer ke liye achchi tayari kare aap ka jawab blog visitor ke liye aap ke blog ki Value maloom karneka ek zariya hao.